SUNNO
Suno ay chand say sathi......
abhi tum keh rahay thay na.......
tumhain mujh say mohabbat ho nahin sakti........
chalo maana k yeh sach hai......
magar ay chand say sathi mujhay itna batao tum........
k jab mausam badaltay hain....
gulon main rang bhartay hain.........
to phir kiun muztarib ho ker.......
akelay pan say ghabra kr........
hawa ko raz detay ho......
mujhay aawaz detay ho.......
suno ay chand say sathi.....
tumharay samnay koe mera jab naam leta hai.......
to phir kiun chonk jatay ho..........
chalo maana tumhain mujh say mohabbat ho nahin sakti......
magar itna samajh lo tum....
jahan chahat nahin hoti......
wahan nafrat k honay ka koe imkaan nahin hota......
mera daawa hai......
chahat main jahan nafrat nahin hoti.......
wahan aksar yeh dekha hai.....
agar kuch waqt kat jaye....
samay ki dhool chat jaye....
to wehshat bhaag jati hai.....
Mohabbat jaag jati hai !!!!
KAMZOR
Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain?
Aap apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain
apni tabahiyon main hi jub apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain
Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karai
Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain
Duniya teray faraib say jobach k nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain
TOOT JATA HAI AAKE LAB PE ….
Toota jo aake lab pe, tera naam hi to hai
Dil mein bas aik khuahish-e-nakaam hi to hai
Pehla qadam hi aakhri hai, uth sake agar
Manzil yaqeen-e-ishq ki aik gaam hi to hai
Rehne do wapsi kay liye raasta khula
Woh bad nahi hai, aik zara badnaam hi to hai
Sabit karega kia koi ham par jafa ka jurm
Aik roz dhul hi jaayega ilzaam hi to hai
FREEDOM
QUEST NAWABSHAH
Tuesday, April 28, 2009
Subscribe to:
Comments (Atom)
